ek samt duniya mushtail aur ek taraf hai soz-e-dil
ik samt duniyā mushta.il aur ik taraf hai soz-e-dil
sadiyoñ se jaarī hai ye panja-āzmā.ī mustaqil
hone lagā hai rafta rafta titliyoñ kā ḳhuuñ safed
phūloñ ko bas is ranj ne hī kar diyā hai muzmahil
sūraj se bach kar aa gayā ik peḌ ko apnā liyā
aur vo shajar karne lagā mujh meñ harārat muntaqil
dastak na de dastak na de dastak na de dil par mire
ḳhālī makāñ hai nāsehā mat kar nigahbāñ ko ḳhajil
jaarī hai kab se kārobār-e-ishq kyā batlā.ūñ maiñ
bāzār kā to kyā kahūñ aadam bhī the be-āb-o-gil
maalī mayassar hī nahīñ maalī mayassar hī nahīñ
bas dukh yahī lāhaq huā hai is shajar ko jāñ-gusil
thā sur.at-e-raftār dil se aql ko aisā hasad
ik aur dil hī ho gayā hai merī manzil meñ muḳhil
ek samt duniya mushtail aur ek taraf hai soz-e-dil
sadiyon se jari hai ye panja-azmai mustaqil
hone laga hai rafta rafta titliyon ka KHun safed
phulon ko bas is ranj ne hi kar diya hai muzmahil
suraj se bach kar aa gaya ek peD ko apna liya
aur wo shajar karne laga mujh mein hararat muntaqil
dastak na de dastak na de dastak na de dil par mere
KHali makan hai naseha mat kar nigahban ko KHajil
jari hai kab se karobar-e-ishq kya batlaun main
bazar ka to kya kahun aadam bhi the be-ab-o-gil
mali mayassar hi nahin mali mayassar hi nahin
bas dukh yahi lahaq hua hai is shajar ko jaan-gusil
tha surat-e-raftar dil se aql ko aisa hasad
ek aur dil hi ho gaya hai meri manzil mein muKHil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.