ek sar-basar sarab hun wahm-o-guman hun main
ik sar-basar sarāb huuñ vahm-o-gumāñ huuñ maiñ
har chand huuñ yahāñ pe yahāñ bhī kahāñ huuñ maiñ
dekhūñ to kuchh nahīñ huuñ maiñ kuchh bhī nahīñ huuñ maiñ
sochūñ to apne aap meñ ik haft-ḳhvāñ huuñ maiñ
merā hisāb kyā ho mirā kyā ho ehtisāb
apne hisāb se to sarāsar ziyāñ huuñ maiñ
itnā ulaT-palaT ke bhalā dekhte ho kyā
kah to rahā huuñ tum se faqat rā.egāñ huuñ maiñ
ye kuchh 'ajab nahīñ ki haiñ sab mujh se bad-gumāñ
ḳhud apne aap se bhī kahāñ ḳhush-gumāñ huuñ maiñ
kyoñ log mere daam lagāte jhijakte haiñ
merā nahīñ ḳhayāl ki itnā girāñ huuñ maiñ
ek sar-basar sarab hun wahm-o-guman hun main
har chand hun yahan pe yahan bhi kahan hun main
dekhun to kuchh nahin hun main kuchh bhi nahin hun main
sochun to apne aap mein ek haft-KHwan hun main
mera hisab kya ho mera kya ho ehtisab
apne hisab se to sarasar ziyan hun main
itna ulaT-palaT ke bhala dekhte ho kya
kah to raha hun tum se faqat raegan hun main
ye kuchh 'ajab nahin ki hain sab mujh se bad-guman
KHud apne aap se bhi kahan KHush-guman hun main
kyon log mere dam lagate jhijakte hain
mera nahin KHayal ki itna giran hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.