ek sham ki udasi ka gham aasman ka dukh
ik shaam kī udāsī kā ġham āsmāñ kā dukh
phir niiñd le uḌā hai vo pichhlī ḳhizāñ kā dukh
muddat se khoj meñ huuñ kabhī to patā chale
mujh ko kahāñ milā thā ye saare jahāñ kā dukh
sālār kho gayā hai mirī fauj kā kahīñ
tum ko ḳhabar kahāñ hai mire kārvāñ kā dukh
sarhad pe jis kā beTā abhī kal hī mar gayā
mahsūs kar rahā huuñ maiñ us ek maañ kā dukh
ashkoñ se jis ke gaañv ke sab peḌ jal ga.e
sadiyāñ nigal chukā hai us ātish-fishāñ kā dukh
ek sham ki udasi ka gham aasman ka dukh
phir nind le uDa hai wo pichhli KHizan ka dukh
muddat se khoj mein hun kabhi to pata chale
mujh ko kahan mila tha ye sare jahan ka dukh
salar kho gaya hai meri fauj ka kahin
tum ko KHabar kahan hai mere karwan ka dukh
sarhad pe jis ka beTa abhi kal hi mar gaya
mahsus kar raha hun main us ek man ka dukh
ashkon se jis ke ganw ke sab peD jal gae
sadiyan nigal chuka hai us aatish-fishan ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.