ek shab-e-tarik hum manzil pe yun lae gae
ik shab-e-tārīk ham manzil pe yuuñ laa.e ga.e
qaid se nikle to ik maqtal meñ pahuñchā.e ga.e
har qadam par ḳhuun bikhrā thā hamārī raah par
ġhāliban kuchh log idhar pahle bhī le jaa.e ga.e
ek tābinda kiran kī aarzū ke jurm meñ
saiñkaḌoñ sūraj mire siine meñ dahkā.e ga.e
mil gayā duniyā ko mere qatl kā ik din surāġh
jis jagah maiñ kho gayā thā tum vahīñ paa.e ga.e
mere haq meñ jis kisī ke bhī du'ā ko haath uThe
us kī chaukhaT tak mirī taqdīr ke saa.e ga.e
haa.e ye din jo nahīñ lete kahīñ jaane kā naam
vaa.e vo din jo paloñ meñ ho ga.e aa.e ga.e
chashm-e-tar meñ aaj tak zinda hai 'tal’at' vo ghaḌī
jab salīboñ par mire jazbāt laTkā.e ga.e
ek shab-e-tarik hum manzil pe yun lae gae
qaid se nikle to ek maqtal mein pahunchae gae
har qadam par KHun bikhra tha hamari rah par
ghaaliban kuchh log idhar pahle bhi le jae gae
ek tabinda kiran ki aarzu ke jurm mein
sainkaDon suraj mere sine mein dahkae gae
mil gaya duniya ko mere qatl ka ek din suragh
jis jagah main kho gaya tha tum wahin pae gae
mere haq mein jis kisi ke bhi du'a ko hath uThe
us ki chaukhaT tak meri taqdir ke sae gae
hae ye din jo nahin lete kahin jaane ka nam
wae wo din jo palon mein ho gae aae gae
chashm-e-tar mein aaj tak zinda hai 'tal’at' wo ghaDi
jab salibon par mere jazbaat laTkae gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.