ek shahr-e-arzu hai aur hum hain dosto
ik shahr-e-ārzū hai aur ham haiñ dosto
phir ġham kī justujū hai aur ham haiñ dosto
mujrim khaḌe hue haiñ ik bārgāh meñ
vo shaḳhs rū-ba-rū hai aur ham haiñ dosto
kāñToñ se rū-shanās haiñ phūloñ se bahra-var
duniyā-e-rañg-o-bū hai aur ham haiñ dosto
ham jis meñ jī rahe haiñ us mai-kade kī ḳhair
TuuTe hue subū haiñ aur ham haiñ dosto
duniyā se be-ḳhabar haiñ kis anjuman meñ gum
campus hai āb-e-jū hai aur ham haiñ dosto
ek shahr-e-arzu hai aur hum hain dosto
phir gham ki justuju hai aur hum hain dosto
mujrim khaDe hue hain ek bargah mein
wo shaKHs ru-ba-ru hai aur hum hain dosto
kanTon se ru-shanas hain phulon se bahra-war
duniya-e-rang-o-bu hai aur hum hain dosto
hum jis mein ji rahe hain us mai-kade ki KHair
TuTe hue subu hain aur hum hain dosto
duniya se be-KHabar hain kis anjuman mein gum
campus hai aab-e-ju hai aur hum hain dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.