ek shahr-e-nasapas ka nauha hai aur main
ik shahr-e-nāsapās kā nauha hai aur maiñ
ab sub.h-o-shām vus'at-e-sahrā hai aur maiñ
ummīd-o-intizār kā vaqfa hai aur maiñ
dil hai vo nīm-bāz darīcha hai aur maiñ
phir nik.hat-e-sabā ke ta'āqub kā hai junūñ
phir dil-lagī kā ek vasīla hai aur maiñ
tum ne ye kis maqām pe chhoḌā hai merā saath
kis kis pe chārasāzī kā dhoka hai aur maiñ
hālāt pur-sukūn na māhaul sāzgār
parvardigār terā sahārā hai aur maiñ
allāh ek vaqt meñ kis kis ko duuñ javāb
vo haiñ junūn-e-shauq hai duniyā hai aur maiñ
ek shahr-e-nasapas ka nauha hai aur main
ab subh-o-sham wus'at-e-sahra hai aur main
ummid-o-intizar ka waqfa hai aur main
dil hai wo nim-baz daricha hai aur main
phir nikhat-e-saba ke ta'aqub ka hai junun
phir dil-lagi ka ek wasila hai aur main
tum ne ye kis maqam pe chhoDa hai mera sath
kis kis pe chaarasazi ka dhoka hai aur main
haalat pur-sukun na mahaul sazgar
parwardigar tera sahaara hai aur main
allah ek waqt mein kis kis ko dun jawab
wo hain junun-e-shauq hai duniya hai aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.