ek shajar ki Tahniyon par chand rozana chaDhe
ik shajar kī Tahniyoñ par chāñd rozāna chaḌhe
jaise dīvār-e-junūñ par koī dīvāna chaḌhe
dil pe aise ik ġhazal kī kaifiyat taarī huī
jaise ghar kī chhat pe koī shaḳhs an-jānā chaḌhe
ik badan kī bandishoñ ne bāñdh lī rūheñ tamām
jaise pān.cho uñgliyoñ par ek dastāna chaḌhe
roz-marra zindagī kirdār vaise hī ji.eñ
aur puurī ziist par poshāk-e-afsāna chaḌhe
DhūñDhne ik āftāb-e-sher niklā hai ‘mirāsh’
dekhnā hai kis bulandī tak ye parvāna chaḌhe
ek shajar ki Tahniyon par chand rozana chaDhe
jaise diwar-e-junun par koi diwana chaDhe
dil pe aise ek ghazal ki kaifiyat tari hui
jaise ghar ki chhat pe koi shaKHs an-jaana chaDhe
ek badan ki bandishon ne bandh li ruhen tamam
jaise pancho ungliyon par ek dastana chaDhe
roz-marra zindagi kirdar waise hi jien
aur puri zist par poshak-e-afsana chaDhe
DhunDhne ek aaftab-e-sher nikla hai ‘mirash’
dekhna hai kis bulandi tak ye parwana chaDhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.