ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab is mein rahte hain
ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab is mein rahte hain
Mohammad Ajmal Niyazi
MORE BYMohammad Ajmal Niyazi
ik shaḳhs jazīra rāzoñ kā aur ham sab is meñ rahte haiñ
ik ghar hai tanhā yādoñ kā aur ham sab is meñ rahte haiñ
ik mausam hare parindoñ kā vo sard havā kā rizq huā
ik gulshan ḳhālī peḌoñ kā aur ham sab is meñ rahte haiñ
ik aañkh hai dariyā āñkhoñ kā har manzar us meñ Duub gayā
ik chehra sahrā chehroñ kā aur ham sab is meñ rahte haiñ
ik ḳhvāb ḳhazāna nīñdoñ kā vo ham sab ne barbād kiyā
ik niiñd ḳharāba ḳhvāboñ kā aur ham sab is meñ rahte haiñ
ik lamha laakh zamānoñ kā vo maskan hai vīrānoñ kā
ik ahd bikharte lamhoñ kā aur ham sab is meñ rahte haiñ
ik rasta us ke shahroñ kā ham us kī dhuul meñ dhuul hue
ik shahr us kī ummīdoñ kā aur ham sab is meñ rahte haiñ
ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab is mein rahte hain
ek ghar hai tanha yaadon ka aur hum sab is mein rahte hain
ek mausam hare parindon ka wo sard hawa ka rizq hua
ek gulshan KHali peDon ka aur hum sab is mein rahte hain
ek aankh hai dariya aankhon ka har manzar us mein Dub gaya
ek chehra sahra chehron ka aur hum sab is mein rahte hain
ek KHwab KHazana nindon ka wo hum sab ne barbaad kiya
ek nind KHaraba KHwabon ka aur hum sab is mein rahte hain
ek lamha lakh zamanon ka wo maskan hai viranon ka
ek ahd bikharte lamhon ka aur hum sab is mein rahte hain
ek rasta us ke shahron ka hum us ki dhul mein dhul hue
ek shahr us ki ummidon ka aur hum sab is mein rahte hain
- Book : Urdu Adab (Pg. 60)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.