Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab us mein rahte hain

Mohammad Ajmal Niyazi

ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab us mein rahte hain

Mohammad Ajmal Niyazi

MORE BYMohammad Ajmal Niyazi

    ik shaḳhs jazīra rāzoñ aur ham sab us meñ rahte haiñ

    ik ghar hai tanhā yādoñ aur ham sab us meñ rahte haiñ

    ik āñkheñ dariyā āñkhoñ har manzar us meñ Duub gayā

    ik chehra sahrā chehroñ aur ham sab us meñ rahte haiñ

    ik ḳhvāb ḳhazāna nīñdoñ vo ham sab ne barbād kiyā

    ik niiñd ḳharāba ḳhvāboñ aur ham sab us meñ rahte haiñ

    ik lamha laakh zamānoñ vo maskan hai vīrānoñ

    ik ahd bikharte lamhoñ aur ham sab us meñ rahte haiñ

    ik mausam hare parindoñ vo sard havā rizq huā

    ik gulshan ḳhālī peḌoñ aur ham sab us meñ rahte haiñ

    ik rasta us ke shahroñ ham us dhuul meñ dhuul hue

    ik shahr us ummīdoñ aur ham sab us meñ rahte haiñ

    ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab us mein rahte hain

    ek ghar hai tanha yaadon ka aur hum sab us mein rahte hain

    ek aankhen dariya aankhon ka har manzar us mein Dub gaya

    ek chehra sahra chehron ka aur hum sab us mein rahte hain

    ek KHwab KHazana nindon ka wo hum sab ne barbaad kiya

    ek nind KHaraba KHwabon ka aur hum sab us mein rahte hain

    ek lamha lakh zamanon ka wo maskan hai viranon ka

    ek ahd bikharte lamhon ka aur hum sab us mein rahte hain

    ek mausam hare parindon ka wo sard hawa ka rizq hua

    ek gulshan KHali peDon ka aur hum sab us mein rahte hain

    ek rasta us ke shahron ka hum us ki dhul mein dhul hue

    ek shahr us ki ummidon ka aur hum sab us mein rahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now