ek shaKHs jo mila tha bahut koshishon ke baad
ik shaḳhs jo milā thā bahut koshishoñ ke baa'd
us ne bhī saath chhoḌ diyā qurbatoñ ke baa'd
is shahr-e-ajnabī meñ milegā sukūn ab
ik mai-kada dikhā hai ka.ī masjidoñ ke baa'd
is meñ qadam bhī soch samajh kar rakhoge kyā
ye 'ishq hai ye hotā nahīñ tajraboñ ke baa'd
ham bā’d-e-vasl jab bhī ga.e mai-kade kī samt
kaḌvī lagī sharāb tumhāre laboñ ke baa'd
ai nāma-bar ye kahnā ki achchhā nahīñ kiyā
ik muḳhtasar javāb diyā sau ḳhatoñ ke baa'd
yaañ log TuuT jaate haiñ ik hijr meñ 'asar'
maiñ huuñ ki jī rahā huuñ ka.ī hādsoñ ke baa'd
ek shaKHs jo mila tha bahut koshishon ke ba'd
us ne bhi sath chhoD diya qurbaton ke ba'd
is shahr-e-ajnabi mein milega sukun ab
ek mai-kada dikha hai kai masjidon ke ba'd
is mein qadam bhi soch samajh kar rakhoge kya
ye 'ishq hai ye hota nahin tajrabon ke ba'd
hum ba’d-e-wasl jab bhi gae mai-kade ki samt
kaDwi lagi sharab tumhaare labon ke ba'd
ai nama-bar ye kahna ki achchha nahin kiya
ek muKHtasar jawab diya sau KHaton ke ba'd
yan log TuT jate hain ek hijr mein 'asar'
main hun ki ji raha hun kai hadson ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.