ek shaKHs ke na hone se viran hai sara shahr
ik shaḳhs ke na hone se vīrāñ hai saarā shahr
ai dil-zado basāyā hai tum ne ye kaisā shahr
be-mehr sang-o-ḳhisht to be-sāya har shajar
lagtā hai dosto ye qarā.in se apnā shahr
aaseb khā gayā ki nazar lag ga.ī ise
ab ḳhvāb ho gayā hai vo ik hañstā bastā shahr
dillī to saat baar luTī aur bas ga.ī
lekin ujaḌ ke phir na basā apne dil kā shahr
ab haal ye hai uTThe kisī samt bhī dhuāñ
maiñ sochtā yahī huuñ ki jaltā hai merā shahr
'ishqī' ġharīb-e-shahr kahe bhī to kyā kahe
jis kā hai shahr-yār usī kā hai saarā shahr
ek shaKHs ke na hone se viran hai sara shahr
ai dil-zado basaya hai tum ne ye kaisa shahr
be-mehr sang-o-KHisht to be-saya har shajar
lagta hai dosto ye qarain se apna shahr
aaseb kha gaya ki nazar lag gai ise
ab KHwab ho gaya hai wo ek hansta basta shahr
dilli to sat bar luTi aur bas gai
lekin ujaD ke phir na basa apne dil ka shahr
ab haal ye hai uTThe kisi samt bhi dhuan
main sochta yahi hun ki jalta hai mera shahr
'ishqi' gharib-e-shahr kahe bhi to kya kahe
jis ka hai shahr-yar usi ka hai sara shahr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.