ek shaKHs mere KHwab mein aa kar chala gaya

ek shaKHs mere KHwab mein aa kar chala gaya
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
ik shaḳhs mere ḳhvāb meñ aa kar chalā gayā
kar ke mashām-e-jāñ ko mo'attar chalā gayā
hiire kī tarh us kā muqaddar chamak uThā
hāthoñ meñ mere ho ke jo patthar chalā gayā
kaisī kashish hai tujh meñ ai doshīza-e-ajal
vāpas na aaya jo tire dar par chalā gayā
samjhā rahā thā maiñ ki burī chiiz hai anā
dastār ḳhuuñ meñ Duub ga.ī sar chalā gayā
ab kis ke intizār meñ baiThe ho tum 'shakīl'
jo shaḳhs aane vaalā thā aa kar chalā gayā
buzdil to vo nahīñ thā magar kyā kahūñ 'shakīl'
kyā jaane kyoñ vo chhoḌ ke lashkar chalā gayā
ek shaKHs mere KHwab mein aa kar chala gaya
kar ke masham-e-jaan ko mo'attar chala gaya
hire ki tarh us ka muqaddar chamak uTha
hathon mein mere ho ke jo patthar chala gaya
kaisi kashish hai tujh mein ai doshiza-e-ajal
wapas na aaya jo tere dar par chala gaya
samjha raha tha main ki buri chiz hai ana
dastar KHun mein Dub gai sar chala gaya
ab kis ke intizar mein baiThe ho tum 'shakil'
jo shaKHs aane wala tha aa kar chala gaya
buzdil to wo nahin tha magar kya kahun 'shakil'
kya jaane kyon wo chhoD ke lashkar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.