Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shaKHs tha so ab wo bayaban-naward hai

Hamid Husain Hamid

ek shaKHs tha so ab wo bayaban-naward hai

Hamid Husain Hamid

MORE BYHamid Husain Hamid

    ik shaḳhs thā so ab vo bayābāñ-navard hai

    is shahr meñ hamāre sivā kaun mard hai

    chehra har ek madd-e-muqābil zard hai

    ishq-e-nabard-pesha talabgār-e-mard hai

    yak-jehtī-e-nigāh ko āvāz kaun de

    har daftar-e-ḳhayāl yahāñ fard fard hai

    is justujū dauḌ meñ ye bhed bhī khulā

    rang-e-suḳhan talāsh-e-ma.ānī gard hai

    ġhurfe se lamhe lamhe ke jhāñkegā asl rang

    chehre pe ham sabhoñ ke agar aab zard hai

    dast-e-suḳhan meñ tesha-e-bātil na dījiye

    dushman agarche raah har sang-e-sard hai

    is meñ harārtoñ na.ī ruuh phūñk do

    ḳhvāhish laash ek zamāne se sard hai

    ek shaKHs tha so ab wo bayaban-naward hai

    is shahr mein hamare siwa kaun mard hai

    chehra har ek madd-e-muqabil ka zard hai

    ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard hai

    yak-jehti-e-nigah ko aawaz kaun de

    har daftar-e-KHayal yahan fard fard hai

    is justuju ki dauD mein ye bhed bhi khula

    rang-e-suKHan talash-e-maani ki gard hai

    ghurfe se lamhe lamhe ke jhankega asl rang

    chehre pe hum sabhon ke agar aab zard hai

    dast-e-suKHan mein tesha-e-baatil na dijiye

    dushman agarche rah ka har sang-e-sard hai

    is mein hararton ki nai ruh phunk do

    KHwahish ki lash ek zamane se sard hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now