ek sham-e-gham to dil mein hi bas jal rahi thi dost
ik sham'-e-ġham to dil meñ hī bas jal rahī thī dost
ye zindagī to aise bhī bas chal rahī thī dost
vo kah ke jā rahā thā maiñ vāpas na ā.ūñgā
is dil meñ us kī aas magar pal rahī thī dost
shahroñ meñ ek shahr thā is shahr-e-dil se duur
miTTī hamārī aur kahīñ gal rahī thī dost
maiñ ghar se jā rahā thā kamāne ke vāste
maañ thī ki apnā haath faqat mil rahī thī dost
ek sham'-e-gham to dil mein hi bas jal rahi thi dost
ye zindagi to aise bhi bas chal rahi thi dost
wo kah ke ja raha tha main wapas na aaunga
is dil mein us ki aas magar pal rahi thi dost
shahron mein ek shahr tha is shahr-e-dil se dur
miTTi hamari aur kahin gal rahi thi dost
main ghar se ja raha tha kamane ke waste
man thi ki apna hath faqat mil rahi thi dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.