ek shoKH ke honTon se ye jam tarashe hain
ik shoḳh ke hoñToñ se ye jaam tarāshe haiñ
ye jaam tarāshe haiñ in'ām tarāshe haiñ
aa.ine pe kyuuñ itne barham nazar aate ho
jo shakleñ mileñ us se vo naam tarāshe haiñ
masjid ho ki mandir ho kuchh farq nahīñ lekin
ḳhud ham ne hī nafrat ke asnām tarāshe haiñ
taqsīm huuñ majbūran maiñ kitne hī ḳhānoñ meñ
duniyā ne magar kyā kyā ilzām tarāshe haiñ
likkhegā gila kyā hai karne se hī hotā hai
logoñ ne pahāḌoñ meñ gulfām tarāshe haiñ
farzānoñ kī bastī meñ kyā kaam 'niyāzī' kā
dīvānoñ sā lahja hai ib.hām tarāshe haiñ
ek shoKH ke honTon se ye jam tarashe hain
ye jam tarashe hain in'am tarashe hain
aaine pe kyun itne barham nazar aate ho
jo shaklen milen us se wo nam tarashe hain
masjid ho ki mandir ho kuchh farq nahin lekin
KHud hum ne hi nafrat ke asnam tarashe hain
taqsim hun majburan main kitne hi KHanon mein
duniya ne magar kya kya ilzam tarashe hain
likkhega gila kya hai karne se hi hota hai
logon ne pahaDon mein gulfam tarashe hain
farzanon ki basti mein kya kaam 'niyazi' ka
diwanon sa lahja hai ibham tarashe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.