ek sitaron bhara aasman ho gae
ik sitāroñ bharā āsmāñ ho ga.e
ab ḳhudā kī qasam tum javāñ ho ga.e
muskurā.e to tīroñ kī barsāt kī
aur nārāz ho kar kamāñ ho ga.e
yuuñ bazāhir to nazroñ se nazreñ milīñ
kaise kaise magar imtihāñ ho ga.e
tum bhī ik vāqi'a ho ke rah jāoge
ham bhī bhūlī huī dāstāñ ho ga.e
āzmānā hai kyā koī tīr-e-sitam
aaj 'dānish' vo kyoñ mehrbāñ ho ga.e
ek sitaron bhara aasman ho gae
ab KHuda ki qasam tum jawan ho gae
muskurae to tiron ki barsat ki
aur naraaz ho kar kaman ho gae
yun bazahir to nazron se nazren milin
kaise kaise magar imtihan ho gae
tum bhi ek waqi'a ho ke rah jaoge
hum bhi bhuli hui dastan ho gae
aazmana hai kya koi tir-e-sitam
aaj 'danish' wo kyon mehrban ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.