ek sitamgar ne yun bekas pe sitam toDa hai
ik sitamgar ne yuuñ bekas pe sitam toḌā hai
jaise munsif ne sazā likh ke qalam toḌā hai
toḌne vaale ḳhudā tujh ko salāmat rakkhe
tū ne ye dil nahīñ toḌā hai haram toḌā hai
haath ḳhālī jo gayā hai mire darvāze se
us savālī ne mire ghar kā bharam toḌā hai
kis ke aane kā ḳhudā jaane takā hai rasta
marne vaale ne baḌī der se dam toḌā hai
TuuT kar ek sitāre ne falak se 'shahzar'
mere andar kā shahī zo.am-e-aham toḌā hai
ek sitamgar ne yun bekas pe sitam toDa hai
jaise munsif ne saza likh ke qalam toDa hai
toDne wale KHuda tujh ko salamat rakkhe
tu ne ye dil nahin toDa hai haram toDa hai
hath KHali jo gaya hai mere darwaze se
us sawali ne mere ghar ka bharam toDa hai
kis ke aane ka KHuda jaane taka hai rasta
marne wale ne baDi der se dam toDa hai
TuT kar ek sitare ne falak se 'shahzar'
mere andar ka shahi zoam-e-aham toDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.