ek sukun sa dikhta hai aap ke anup mein
ik sukūñ sā dikhtā hai aap ke anuup meñ
jaise koī baiThā ho sardiyoñ kī dhuup meñ
ek baar jo milā vo to ho gayā tirā
koī jaadū Tonā hai tere rang ruup meñ
merā bas chale to maiñ chāñd tum pe vaar duuñ
terā haq ye bantā hai bā-ḳhudā sarūp meñ
merī zaat meñ to ab zaat ek hai basī
jā-ba-jā makīn hai jism-o-jāñ ke luup meñ
sab makān jis ke haiñ aur lā-makāñ hai jo
jis ke saare ruup haiñ rahtā hai aruup meñ
dozaḳhoñ kī aag yuuñ duur ham se ho ga.ī
baḳhsh dī bahisht jo rab ne maañ ke ruup meñ
DhūñDte ho tum 'zafar' kin ke raaz ko abhī
ham ne vo bhī pā liyā jo chhupā nirūp meñ
ek sukun sa dikhta hai aap ke anup mein
jaise koi baiTha ho sardiyon ki dhup mein
ek bar jo mila wo to ho gaya tera
koi jadu Tona hai tere rang rup mein
mera bas chale to main chand tum pe war dun
tera haq ye banta hai ba-KHuda sarup mein
meri zat mein to ab zat ek hai basi
ja-ba-ja makin hai jism-o-jaan ke lup mein
sab makan jis ke hain aur la-makan hai jo
jis ke sare rup hain rahta hai arup mein
dozaKHon ki aag yun dur hum se ho gai
baKHsh di bahisht jo rab ne man ke rup mein
DhunDte ho tum 'zafar' kin ke raaz ko abhi
hum ne wo bhi pa liya jo chhupa nirup mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.