ek taj kisi sar pe jo hum dekh rahe hain
ek taj kisi sar pe jo hum dekh rahe hain
Kishan lal Khandaan Dehlvi
MORE BYKishan lal Khandaan Dehlvi
ik taaj kisī sar pe jo ham dekh rahe haiñ
aisā hai ki huqqe pe chilam dekh rahe haiñ
whiskey hai kahīñ aur na rum dekh rahe haiñ
Tharrā hai magar vo bhī to kam dekh rahe haiñ
himmat nahīñ itnī ki unheñ bhej deñ chiTThī
likh likh ke magar zor-e-qalam dekh rahe haiñ
hir-phir ke sadā revḌī apnoñ hī ko bāñTī
ham aap kā andāz-e-karam dekh rahe haiñ
samjhāne hī aayā hai samajhte haiñ ye ham ḳhuub
maiḳhāne meñ vā'iz ke qadam dekh rahe haiñ
bhole hī lage sab ko vo jis ruḳh se bhī baiThe
ham baiThī huī chaltī raqam dekh rahe haiñ
paimāne se paimān-e-vafā bāñdh liyā phir
TuuTī huī 'ḳhandāñ' kī qasam dekh rahe haiñ
ek taj kisi sar pe jo hum dekh rahe hain
aisa hai ki huqqe pe chilam dekh rahe hain
whiskey hai kahin aur na rum dekh rahe hain
Tharra hai magar wo bhi to kam dekh rahe hain
himmat nahin itni ki unhen bhej den chiTThi
likh likh ke magar zor-e-qalam dekh rahe hain
hir-phir ke sada rewDi apnon hi ko banTi
hum aap ka andaz-e-karam dekh rahe hain
samjhane hi aaya hai samajhte hain ye hum KHub
maiKHane mein wa'iz ke qadam dekh rahe hain
bhole hi lage sab ko wo jis ruKH se bhi baiThe
hum baiThi hui chalti raqam dekh rahe hain
paimane se paiman-e-wafa bandh liya phir
TuTi hui 'KHandan' ki qasam dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.