ek taq mein hun jaise rakkha hua akela
ik taaq meñ huuñ jaise rakkhā huā akelā
jaltā huā akelā bujhtā huā akelā
kab tak karegā mujh meñ ābād ik jahāñ ko
shāḳhoñ meñ ik parinda baiThā huā akelā
baḌhtā rahā maiñ aage haTtā rahā maiñ pīchhe
din bhar yūñhī havā se laḌtā huā akelā
āñkhoñ se us kī Tapkā kab tak vahāñ maiñ rahtā
ban jā.ūñgā samundar bahtā huā akelā
varna tabīb saare mushkil meñ paḌ ga.e the
ahbāb se bachā to achchhā huā akelā
ye ishq hai samundar phailā huā jahāñ meñ
mujh sā hai ik musāfir bhaTkā huā akelā
dariyā se mil ke dariyā bantā rahā hai qatra
āñkhoñ se gir ke aañsū taarā huā akelā
khiḌkī se maiñ ne bāhar dekhā hai ik musāfir
dahlīz par vo baiThā bhīgā huā akelā
ek taq mein hun jaise rakkha hua akela
jalta hua akela bujhta hua akela
kab tak karega mujh mein aabaad ek jahan ko
shaKHon mein ek parinda baiTha hua akela
baDhta raha main aage haTta raha main pichhe
din bhar yunhi hawa se laDta hua akela
aankhon se us ki Tapka kab tak wahan main rahta
ban jaunga samundar bahta hua akela
warna tabib sare mushkil mein paD gae the
ahbab se bacha to achchha hua akela
ye ishq hai samundar phaila hua jahan mein
mujh sa hai ek musafir bhaTka hua akela
dariya se mil ke dariya banta raha hai qatra
aankhon se gir ke aansu tara hua akela
khiDki se main ne bahar dekha hai ek musafir
dahliz par wo baiTha bhiga hua akela
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.