ek tajassus hai bapa jaane KHuda kya hoga
ik tajassus hai bapā jaane ḳhudā kyā hogā
sātvīñ samt bhī duniyā kā tamāshā hogā
gard baiThī to nazar aa.egā raste kā fusūñ
niiñd TuuTī to kisī ḳhvāb kā ronā hogā
maiñ vo dariyā huuñ jo sahrā kī taraf jaatā hai
maiñ vo lamha jo guzar kar na dobāra hogā
dhuup saa.e ke ta.āqub meñ lagī rahtī hai
vasl dar-asl tire hijr kā jhāñsa hogā
yuuñ na dekho ki mujhe nek gumāñ hone lage
yuuñ na chāho ki kabhī chhoḌ ke jaanā hogā
ik ishāre se bikhar jā.egī duniyā saarī
surḳh signal pe hue ishq tirā kyā hogā
khā ga.ī aañkh se manzar ko udāsī 'rāshid'
merī zambīl meñ har aks adhūrā hogā
ek tajassus hai bapa jaane KHuda kya hoga
satwin samt bhi duniya ka tamasha hoga
gard baiThi to nazar aaega raste ka fusun
nind TuTi to kisi KHwab ka rona hoga
main wo dariya hun jo sahra ki taraf jata hai
main wo lamha jo guzar kar na dobara hoga
dhup sae ke taaqub mein lagi rahti hai
wasl dar-asl tere hijr ka jhansa hoga
yun na dekho ki mujhe nek guman hone lage
yun na chaho ki kabhi chhoD ke jaana hoga
ek ishaare se bikhar jaegi duniya sari
surKH signal pe hue ishq tera kya hoga
kha gai aankh se manzar ko udasi 'rashid'
meri zambil mein har aks adhura hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.