ek tamasha zat ka apni bana kar dekh lo
ek tamasha zat ka apni bana kar dekh lo
Nusrat Ateeq Gorakhpur
MORE BYNusrat Ateeq Gorakhpur
ik tamāsha zaat kā apnī banā kar dekh lo
qissa-e-ġham apne logoñ ko sunā kar dekh lo
vo dhuāñ hogā ki phir be-maut mar jā.eñge log
ye charāġh-e-ishq hai is ko bujhā kar dekh lo
ik na ik din chīḳh ban kar sāmne aa jā.eñgī
ḳhvāhishoñ ko aap bhī apnī dabā kar dekh lo
dard ke naġhmāt duniyā meñ koī suntā nahīñ
tum ko ḳhvāhish hai sunāne kī sunā kar dekh lo
saarī duniyā ke hasīñ manzar nazar meñ ā.eñge
tum kabhī bazm-e-mohabbat meñ to jā kar dekh lo
koshisheñ jitnī karo tum bhuul jaane kī magar
bhūlnā āsān hai kyā aazmā kar dekh lo
naqsh-e-avval huuñ koī harf-e-ġhalat to huuñ nahīñ
tum miTānā chāhte ho to miTā kar dekh lo
dost dushman sab nazar aa jā.eñge 'nusrat' tumheñ
vo jo dil meñ hai use hoñToñ pe lā kar dekh lo
ek tamasha zat ka apni bana kar dekh lo
qissa-e-gham apne logon ko suna kar dekh lo
wo dhuan hoga ki phir be-maut mar jaenge log
ye charagh-e-ishq hai is ko bujha kar dekh lo
ek na ek din chiKH ban kar samne aa jaengi
KHwahishon ko aap bhi apni daba kar dekh lo
dard ke naghmat duniya mein koi sunta nahin
tum ko KHwahish hai sunane ki suna kar dekh lo
sari duniya ke hasin manzar nazar mein aaenge
tum kabhi bazm-e-mohabbat mein to ja kar dekh lo
koshishen jitni karo tum bhul jaane ki magar
bhulna aasan hai kya aazma kar dekh lo
naqsh-e-awwal hun koi harf-e-ghalat to hun nahin
tum miTana chahte ho to miTa kar dekh lo
dost dushman sab nazar aa jaenge 'nusrat' tumhein
wo jo dil mein hai use honTon pe la kar dekh lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.