ek tamasha dekhta hun rasm-e-ulfat ke KHilaf
ek tamasha dekhta hun rasm-e-ulfat ke KHilaf
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
ik tamāshā dekhtā huuñ rasm-e-ulfat ke ḳhilāf
aañkh hai dil kī muḳhālif dil nasīhat ke ḳhilāf
sah rahī haiñ zulm āñkheñ nazm-e-qudrat ke ḳhilāf
but-kade par jhuk rahā hai dil mashiyyat ke ḳhilāf
laakh sar paTkā kare dil zo'f-e-hujjat ke ḳhilāf
chal nahīñ saktī koī tadbīr qismat ke ḳhilāf
nā-tavāñ sī ye sadā aatī hai ab bhī najd meñ
vo bhī kyā din the ki jab dil thā mohabbat ke ḳhilāf
marhabā vo be-niyāzī mudda'ī-e-hosh kī
jo ġhanī kar de tavakkul ban ke daulat ke ḳhilāf
aa.ina ye kah ke āḳhir toḌ Daalā shoḳh ne
shirk kī sūrat nazar aa.ī hai vahdat ke ḳhilāf
āḳhirī manzil pe dam le kar jo dekhā to khulā
raah duniyā meñ nahīñ koī haqīqat ke ḳhilāf
ek vā'de par hī kyā mauqūf hai jān-e-jahāñ
tum hamesha baat karte ho tabī'at ke ḳhilāf
ab mujhe apne muqaddar par haqīqī naaz hai
sāmne hone ko haiñ āḳhir vo 'ādat ke ḳhilāf
chhup ga.e haiñ is liye āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar
faisla mahfūz hai goyā shahādat ke ḳhilāf
dekhtā gar 'shād' aur ābād har maġhmūm ko
kyoñ zabāñ khultī bashar kī dast-e-rahmat ke ḳhilāf
ek tamasha dekhta hun rasm-e-ulfat ke KHilaf
aankh hai dil ki muKHalif dil nasihat ke KHilaf
sah rahi hain zulm aankhen nazm-e-qudrat ke KHilaf
but-kade par jhuk raha hai dil mashiyyat ke KHilaf
lakh sar paTka kare dil zo'f-e-hujjat ke KHilaf
chal nahin sakti koi tadbir qismat ke KHilaf
na-tawan si ye sada aati hai ab bhi najd mein
wo bhi kya din the ki jab dil tha mohabbat ke KHilaf
marhaba wo be-niyazi mudda'i-e-hosh ki
jo ghani kar de tawakkul ban ke daulat ke KHilaf
aaina ye kah ke aaKHir toD Dala shoKH ne
shirk ki surat nazar aai hai wahdat ke KHilaf
aaKHiri manzil pe dam le kar jo dekha to khula
rah duniya mein nahin koi haqiqat ke KHilaf
ek wa'de par hi kya mauquf hai jaan-e-jahan
tum hamesha baat karte ho tabi'at ke KHilaf
ab mujhe apne muqaddar par haqiqi naz hai
samne hone ko hain aaKHir wo 'adat ke KHilaf
chhup gae hain is liye aankhon mein aankhen Dal kar
faisla mahfuz hai goya shahadat ke KHilaf
dekhta gar 'shad' aur aabaad har maghmum ko
kyon zaban khulti bashar ki dast-e-rahmat ke KHilaf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.