ek tamasha ki hota raha samne
ik tamāshā ki hotā rahā sāmne
duur mujh se maiñ khelā kiyā sāmne
āsmāñ sar meñ phailāv letā huā
ik simaTtī huī sī du'ā sāmne
sāmne TūTī-phūTī sadā kā khañDar
duur gahrā.ī meñ ik ḳhalā sāmne
maiñ ki apnā hī qad paar kar na sakā
aa gayā koī mujh se baḌā sāmne
zindagī ek mauj-e-fanā kā surūr
sar-ba-sar ek mauj-e-havā sāmne
ye vahī shaḳhs hai kyā vahī shaḳhs hai
vo jo aaya thā hañstā huā sāmne
dekho 'ajmal' ne ik aur kah dī ġhazal
vo jo dil meñ thā sab rakh diyā sāmne
ek tamasha ki hota raha samne
dur mujh se main khela kiya samne
aasman sar mein phailaw leta hua
ek simaTti hui si du'a samne
samne TuTi-phuTi sada ka khanDar
dur gahrai mein ek KHala samne
main ki apna hi qad par kar na saka
aa gaya koi mujh se baDa samne
zindagi ek mauj-e-fana ka surur
sar-ba-sar ek mauj-e-hawa samne
ye wahi shaKHs hai kya wahi shaKHs hai
wo jo aaya tha hansta hua samne
dekho 'ajmal' ne ek aur kah di ghazal
wo jo dil mein tha sab rakh diya samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.