ek taraf sar kaTane wale log
ik taraf sar kaTāne vaale log
ik taraf bas tarāne vaale log
zabt se TūTtī rageñ merī
zabt ko āzmāne vaale log
maiñ tire paañv paḌ ke rotā huā
aur kuchh muskurāne vaale log
raakh hote ga.e alaav ke saath
terā qissa sunāne vaale log
saath haiñ bas charāġh bujhne tak
terī mahfil sajāne vaale log
aa.ine kī tarah qubūl kiye
ḳhud pe patthar uThāne vaale log
yaad kartā nahīñ kisī ko maiñ
haañ magar yaad aane vaale log
ek taraf sar kaTane wale log
ek taraf bas tarane wale log
zabt se TuTti ragen meri
zabt ko aazmane wale log
main tere panw paD ke rota hua
aur kuchh muskurane wale log
rakh hote gae alaw ke sath
tera qissa sunane wale log
sath hain bas charagh bujhne tak
teri mahfil sajaane wale log
aaine ki tarah qubul kiye
KHud pe patthar uThane wale log
yaad karta nahin kisi ko main
han magar yaad aane wale log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.