ek taraf wo fikr-e-farda zehn parchhai hui
ik taraf vo fikr-e-fardā zehn parchhā.ī huī
ik taraf ye zindagī yādoñ kī Thahrā.ī huī
laakh koshish kī na baḌh pā.īñ diloñ kī ranjisheñ
par kahāñ ruktī hai shīshe meñ darāḌ aa.ī huī
sard rātoñ kī fazā meñ garm rakhtī hai mujhe
shaal maañ ke kāñpte hāthoñ kī pahnā.ī huī
le uḌī hai terī sāñsoñ kī mahak shāyad havā
kyā sabab varna ki yuuñ phirtī hai itrā.ī huī
vo ḳhushī ke roz-o-shab hoñ yā ki 'shākir' ġham kā daur
kaifiyat vo hī bhalī hai ho jo raas aa.ī huī
ek taraf wo fikr-e-farda zehn parchhai hui
ek taraf ye zindagi yaadon ki Thahrai hui
lakh koshish ki na baDh pain dilon ki ranjishen
par kahan rukti hai shishe mein daraD aai hui
sard raaton ki faza mein garm rakhti hai mujhe
shaal man ke kanpte hathon ki pahnai hui
le uDi hai teri sanson ki mahak shayad hawa
kya sabab warna ki yun phirti hai itrai hui
wo KHushi ke roz-o-shab hon ya ki 'shakir' gham ka daur
kaifiyat wo hi bhali hai ho jo ras aai hui
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 612)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.