ek tere jaane se mujhko ye bhi andaza laga
ek tere jaane se mujhko ye bhi andaza laga
Gunjan Nagar Shayar Bakar
MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar
ik tire jaane se mujh ko ye bhī andāza lagā
man se ho kar ruuh meñ ḳhanjar koī taaza lagā
jab bhī piñjre se uḌā maiñ āsmāñ meñ jaane ko
tab mujhe khiḌkī lagī yā band darvāza lagā
har sitam har be-ruḳhī maiñ jhel lūñgā jā-ba-jā
shart hai merī ki ab har zaḳhm tū taaza lagā
maiñ ne apne 'ishq ko rab ke havāle kar diyā
ye bharam hai yā bharosa tū hī andāza lagā
ek tere jaane se mujh ko ye bhi andaza laga
man se ho kar ruh mein KHanjar koi taza laga
jab bhi pinjre se uDa main aasman mein jaane ko
tab mujhe khiDki lagi ya band darwaza laga
har sitam har be-ruKHi main jhel lunga ja-ba-ja
shart hai meri ki ab har zaKHm tu taza laga
main ne apne 'ishq ko rab ke hawale kar diya
ye bharam hai ya bharosa tu hi andaza laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.