ek tere jaane se ye sara makan Khaali hua
ik tire jaane se ye saarā makāñ ḳhālī huā
chāñd se tāroñ se apnā āsmāñ ḳhālī huā
ab na dariyā meñ ravānī ab havāoñ meñ na josh
kashtiyoñ ke saath saarā bādbāñ ḳhālī huā
phir ḳhizāñ ne aa ke apne gul khilā.e har taraf
phir chaman-bandī se dast-e-bāġhbāñ ḳhālī huā
tark jab se kar diyā ham ne samundar kā safar
kashtiyoñ se phir vo bahr-e-bekarāñ ḳhālī huā
kab zabāñ apne vazā.if se rahī hai be-niyāz
kab duāoñ se ye dast-e-nā-tavāñ ḳhālī huā
ek tere jaane se ye sara makan KHali hua
chand se taron se apna aasman KHali hua
ab na dariya mein rawani ab hawaon mein na josh
kashtiyon ke sath sara baadban KHali hua
phir KHizan ne aa ke apne gul khilae har taraf
phir chaman-bandi se dast-e-baghban KHali hua
tark jab se kar diya hum ne samundar ka safar
kashtiyon se phir wo bahr-e-bekaran KHali hua
kab zaban apne wazaif se rahi hai be-niyaz
kab duaon se ye dast-e-na-tawan KHali hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.