ek tu hi mujhe dil mein samone ke liye tha
ik tū hī mujhe dil meñ samone ke liye thā
ye shahr to saarā mujhe khone ke liye thā
dariyā chalā aaya thā mirī raah meñ chal kar
kashtī kā safar mujh ko Dubone ke liye thā
afsos vahī qaht kā luqma banā āḳhir
vo biij ki jo ḳhaak meñ bone ke liye thā
tohfe meñ diyā ham ko tire shahr-e-vafā ne
vo dāġh-e-nadāmat ki jo dhone ke liye thā
ḳhvāboñ ke tasalsul meñ hī uljhī rahīñ āñkheñ
ik pal na milā aisā jo sone ke liye thā
ik umr tarāshā kiyā jo apne hī but ko
vo apne hī ghar ke kisī kone ke liye thā
kuchh mujh ko rulāne kī tamanna bhī thī us kī
kuchh vaqt mire paas bhī rone ke liye thā
ārām-talab log the 'shahzād' so ham se
vo bhī na huā kaam jo hone ke liye thā
ek tu hi mujhe dil mein samone ke liye tha
ye shahr to sara mujhe khone ke liye tha
dariya chala aaya tha meri rah mein chal kar
kashti ka safar mujh ko Dubone ke liye tha
afsos wahi qaht ka luqma bana aaKHir
wo bij ki jo KHak mein bone ke liye tha
tohfe mein diya hum ko tere shahr-e-wafa ne
wo dagh-e-nadamat ki jo dhone ke liye tha
KHwabon ke tasalsul mein hi uljhi rahin aankhen
ek pal na mila aisa jo sone ke liye tha
ek umr tarasha kiya jo apne hi but ko
wo apne hi ghar ke kisi kone ke liye tha
kuchh mujh ko rulane ki tamanna bhi thi us ki
kuchh waqt mere pas bhi rone ke liye tha
aaram-talab log the 'shahzad' so hum se
wo bhi na hua kaam jo hone ke liye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.