ek umr guzari hai bas ishq nibhane mein
ik 'umr guzārī hai bas 'ishq nibhāne meñ
jaate to kahāñ jaate be-dard zamāne meñ
kirdār baḌā kar lo dekho ye tamāshā phir
sab mil ke haiñ juT jaate ākāsh jhukāne meñ
bachpan kī mirī chīzeñ purkhoñ kī nishānī kuchh
niklī hai yahī daulat ammā ke ḳhazāne meñ
ye 'ishq kā mausam hai sāvan kā mahīna hai
bādal bhī garaj barse dhartī ko lubhāne meñ
īmān hai bik jaatā bik jaate yahāñ insāñ
kyā rakkhā hai dīvāno ab paise kamāne meñ
ek 'umr guzari hai bas 'ishq nibhane mein
jate to kahan jate be-dard zamane mein
kirdar baDa kar lo dekho ye tamasha phir
sab mil ke hain juT jate aakash jhukane mein
bachpan ki meri chizen purkhon ki nishani kuchh
nikli hai yahi daulat amma ke KHazane mein
ye 'ishq ka mausam hai sawan ka mahina hai
baadal bhi garaj barse dharti ko lubhane mein
iman hai bik jata bik jate yahan insan
kya rakkha hai diwano ab paise kamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.