ek umr ki kamai uDa le gai hawa
ik 'umr kī kamā.ī uḌā le ga.ī havā
sab kuchh hamāre ghar se uThā le ga.ī havā
be-tarh be-libās huā hai tamām baaġh
nāzuk-badan kī sabz qabā le ga.ī havā
ghar ke sharīr bachche bhī ḳhāmosh ho ga.e
mā'sūm qahqahoñ kī sadā le ga.ī havā
āñkhoñ meñ kaḌvī dhuul sar-e-shām jhoñk dī
kyā kyā suhāne ḳhvāb churā le ga.ī havā
sab narm chhāoñ dhuup kī vaadī meñ jal ga.ī
kis raah badliyoñ ko lagā le ga.ī havā
muñh dekhte hī rah ga.e kāfir-nigāh log
īmān apnā saaf bachā le ga.ī havā
maiñ naam kā 'ra.īs' thā ḳhālī the donoñ haath
albatta mere ghar se du'ā le ga.ī havā
ek 'umr ki kamai uDa le gai hawa
sab kuchh hamare ghar se uTha le gai hawa
be-tarh be-libas hua hai tamam bagh
nazuk-badan ki sabz qaba le gai hawa
ghar ke sharir bachche bhi KHamosh ho gae
ma'sum qahqahon ki sada le gai hawa
aankhon mein kaDwi dhul sar-e-sham jhonk di
kya kya suhane KHwab chura le gai hawa
sab narm chhaon dhup ki wadi mein jal gai
kis rah badliyon ko laga le gai hawa
munh dekhte hi rah gae kafir-nigah log
iman apna saf bacha le gai hawa
main nam ka 'rais' tha KHali the donon hath
albatta mere ghar se du'a le gai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.