ek umr ki talash ka kya hai sila mila
ik umr kī talāsh kā kyā hai sila milā
ḳhud kī ḳhabar milī na ḳhudā kā patā milā
dekho to ḳhud-kushī hai jo samjho to hai visāl
dariyā jo ek chal ke samandar se jā milā
is baar us ke milne kā andāz thā judā
chehra vahī thā aadmī bilkul nayā milā
dair-o-haram meñ jā ke bhī dekhā hai bār-bār
dil ko sukūñ milā na kahīñ par ḳhudā milā
fariyād ḳhūn-e-dil kī adālat ne kab sunī
un ko sazā milī na hameñ ḳhūñ-bahā milā
mushkil thā ham se mandir-o-masjid meñ intiḳhāb
shukr-e-ḳhudā ki raah meñ ik mai-kada milā
kyoñ zid hai ai 'sadā' tujhe us kī talāsh kī
ab tak kisī ko jis kā nahīñ naqsh-e-pā milā
ek umr ki talash ka kya hai sila mila
KHud ki KHabar mili na KHuda ka pata mila
dekho to KHud-kushi hai jo samjho to hai visal
dariya jo ek chal ke samandar se ja mila
is bar us ke milne ka andaz tha juda
chehra wahi tha aadmi bilkul naya mila
dair-o-haram mein ja ke bhi dekha hai bar-bar
dil ko sukun mila na kahin par KHuda mila
fariyaad KHun-e-dil ki adalat ne kab suni
un ko saza mili na hamein KHun-baha mila
mushkil tha hum se mandir-o-masjid mein intiKHab
shukr-e-KHuda ki rah mein ek mai-kada mila
kyon zid hai ai 'sada' tujhe us ki talash ki
ab tak kisi ko jis ka nahin naqsh-e-pa mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.