ek umr se dil mein hai nihan chah kisi ki
ik umr se dil meñ hai nihāñ chaah kisī kī
vo dekhte baiThe haiñ abhī raah kisī kī
auroñ ko satāne se tire haath uThā le
Dar hai ki na lag jaa.e tujhe aah kisī kī
rakkhā na karo daulat-e-duniyā pe bharosa
ye gaah tumhārī hai to hai gaah kisī kī
girdāb-e-havādis se ubharnā nahīñ mushkil
le Dūbtī hai himmat-e-kotāh kisī kī
hai qahr-e-ilāhī kā sabab kibr kisī kā
hai vaj.h-e-tabāhī havas-e-jāh kisī kī
ai māh-e-munavvar ruḳh-e-raushan hai kisī kā
ai kāhkashāñ tū hai guzargāh kisī kī
māñgā hai salīqe se bhī 'bartar' kabhī tum ne
kahte ho ki suntā nahīñ allāh kisī kī
ek umr se dil mein hai nihan chah kisi ki
wo dekhte baiThe hain abhi rah kisi ki
auron ko satane se tere hath uTha le
Dar hai ki na lag jae tujhe aah kisi ki
rakkha na karo daulat-e-duniya pe bharosa
ye gah tumhaari hai to hai gah kisi ki
girdab-e-hawadis se ubharna nahin mushkil
le Dubti hai himmat-e-kotah kisi ki
hai qahr-e-ilahi ka sabab kibr kisi ka
hai wajh-e-tabahi hawas-e-jah kisi ki
ai mah-e-munawwar ruKH-e-raushan hai kisi ka
ai kahkashan tu hai guzargah kisi ki
manga hai saliqe se bhi 'bartar' kabhi tum ne
kahte ho ki sunta nahin allah kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.