ek use chhoD ke jine ka sahaara kya tha
ik use chhoḌ ke jiine kā sahārā kyā thā
sab usī kā thā mohabbat meñ hamārā kyā thā
dard thā koī ġhazal thī yā koī chehra thā
ab nahīñ yaad ki kāġhaz pe utārā kyā thā
tum ko honā hī thā ik roz kisī kā lekin
merā ho jaane meñ nuqsān tumhārā kyā thā
aise lab the ki larazte the ka.ī taazā gulāb
aisī āñkheñ thiiñ ki jhīloñ kā nazārā kyā thā
ashk aise the chamaktī thiiñ hamārī āñkheñ
zaḳhm thā dil meñ diyā thā ki sitārā kyā thā
ek use chhoD ke jine ka sahaara kya tha
sab usi ka tha mohabbat mein hamara kya tha
dard tha koi ghazal thi ya koi chehra tha
ab nahin yaad ki kaghaz pe utara kya tha
tum ko hona hi tha ek roz kisi ka lekin
mera ho jaane mein nuqsan tumhaara kya tha
aise lab the ki larazte the kai taza gulab
aisi aankhen thin ki jhilon ka nazara kya tha
ashk aise the chamakti thin hamari aankhen
zaKHm tha dil mein diya tha ki sitara kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.