ek wahi waqt sab se pyara tha
ik vahī vaqt sab se pyārā thā
terī sohbat meñ jo guzārā thā
tū na aayā magar tujhe maiñ ne
āḳhirī saañs tak pukārā thā
haar kā ġham bhī kam nahīñ lekin
jītne meñ bahut ḳhasārā thā
ab to har shai udaas lagtī hai
kal har ik phuul kitnā pyārā thā
TuuT kar ho gayā kahīñ ġhā.eb
merī qismat meñ jo sitārā thā
kyā ḳhabar thī ki terī zulfoñ ko
ġhair ne bhī bahut sañvārā thā
kitnā vīrān kar gayā dil ko
tū bahāroñ kā isti'ārā thā
ek wahi waqt sab se pyara tha
teri sohbat mein jo guzara tha
tu na aaya magar tujhe main ne
aaKHiri sans tak pukara tha
haar ka gham bhi kam nahin lekin
jitne mein bahut KHasara tha
ab to har shai udas lagti hai
kal har ek phul kitna pyara tha
TuT kar ho gaya kahin ghaeb
meri qismat mein jo sitara tha
kya KHabar thi ki teri zulfon ko
ghair ne bhi bahut sanwara tha
kitna viran kar gaya dil ko
tu bahaaron ka isti'ara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.