ek wo bhi din the Darte the jab tirgi se hum
ik vo bhī din the Darte the jab tīrgī se ham
ghabrā rahe haiñ aaj bahut raushnī se ham
jiine kī de rahā hai du'ā chārāgar hameñ
māyūs ho ga.e haiñ ġham-e-zindagī se ham
achchhā huā ki tū ne hameñ ab bhulā diyā
tang aa ga.e the yaar tirī dostī se ham
ye zindagī hai yā ki musalsal 'azāb hai
do-chār din guzār na paa.e ḳhushī se ham
pal bhar meñ ulfateñ haiñ to pal bhar meñ nafrateñ
kaise nibhā.eñ husn kī bāzīgarī se ham
ummīd thī ki de ke sadā tum bulāoge
guzre the baar baar tumhārī galī se ham
vaise hamāre aage masā.il hazār-hā
hañs hañs ke mil rahe haiñ magar har kisī se ham
marne kā ai 'jamāl' hameñ Dar ho kis liye
aa.e the kab jahāñ meñ kuchh apnī ḳhushī se ham
ek wo bhi din the Darte the jab tirgi se hum
ghabra rahe hain aaj bahut raushni se hum
jine ki de raha hai du'a chaaragar hamein
mayus ho gae hain gham-e-zindagi se hum
achchha hua ki tu ne hamein ab bhula diya
tang aa gae the yar teri dosti se hum
ye zindagi hai ya ki musalsal 'azab hai
do-chaar din guzar na pae KHushi se hum
pal bhar mein ulfaten hain to pal bhar mein nafraten
kaise nibhaen husn ki bazigari se hum
ummid thi ki de ke sada tum bulaoge
guzre the bar bar tumhaari gali se hum
waise hamare aage masail hazar-ha
hans hans ke mil rahe hain magar har kisi se hum
marne ka ai 'jamal' hamein Dar ho kis liye
aae the kab jahan mein kuchh apni KHushi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.