ek zabt ki jo had se guzarne nahin deta
ik zabt ki jo had se guzarne nahīñ detā
marnā koī chāhe bhī to marne nahīñ detā
kitne haiñ mujhe kaam jo karne nahīñ detā
ye vaqt to ik zaḳhm bhī bharne nahīñ detā
ye jazb-e-talab ki hai jo ab rāh-e-talab meñ
manzil pe pahuñch kar bhī Thaharne nahīñ detā
ye haal kā ehsāñ hai jo maazī kā koī naqsh
ab ā.ina-e-dil pe ubharne nahīñ detā
ik ġham hai kisī kā jo kisī haal meñ 'tāriq'
shīrāza-e-hastī ko bikharne nahīñ detā
ek zabt ki jo had se guzarne nahin deta
marna koi chahe bhi to marne nahin deta
kitne hain mujhe kaam jo karne nahin deta
ye waqt to ek zaKHm bhi bharne nahin deta
ye jazb-e-talab ki hai jo ab rah-e-talab mein
manzil pe pahunch kar bhi Thaharne nahin deta
ye haal ka ehsan hai jo mazi ka koi naqsh
ab aaina-e-dil pe ubharne nahin deta
ek gham hai kisi ka jo kisi haal mein 'tariq'
shiraaza-e-hasti ko bikharne nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.