ek zamane ke baad roya hun
ik zamāne ke baad royā huuñ
zaḳhm khāne ke baad royā huuñ
us ke jaane pe chup thā maiñ lekin
us ke jaane ke baad royā huuñ
apne hāthoñ se aaj phir apnā
dil dukhāne ke baad royā huuñ
kho ke tere ḳhayāloñ meñ aksar
muskurāne ke baad royā huuñ
pahle paḌh kar maiñ muskurāyā magar
ḳhat jalāne ke baad royā huuñ
aaj phir aa.ine ko maiñ apnā
ġham sunāne ke baad royā huuñ
tujh se mansūb kar ke sheroñ ko
gungunāne ke baad royā huuñ
terī yādoñ ke 'sād' shānoñ par
sar jhukāne ke baad royā huuñ
ek zamane ke baad roya hun
zaKHm khane ke baad roya hun
us ke jaane pe chup tha main lekin
us ke jaane ke baad roya hun
apne hathon se aaj phir apna
dil dukhane ke baad roya hun
kho ke tere KHayalon mein aksar
muskurane ke baad roya hun
pahle paDh kar main muskuraya magar
KHat jalane ke baad roya hun
aaj phir aaine ko main apna
gham sunane ke baad roya hun
tujh se mansub kar ke sheron ko
gungunane ke baad roya hun
teri yaadon ke 'sad' shanon par
sar jhukane ke baad roya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.