ek zamini hijr ki takrim ko aage baDha
ik zamīnī hijr kī takrīm ko aage baḌhā
vo ufuq-zāda mirī ta.azīm ko aage baḌhā
dekh in kaTte laboñ se ik sitāre kā tulūa
aañkh nam rakh aur lab ta.azīm ko aage baḌhā
maiñ ki aks-e-lā thī lekin vaqt kī lau se pare
ā.ina-gar ḳhud mirī tajsīm ko aage baḌhā
ai udāsī lams-e-ḳhush-tāsīr kī hairat meñ Dhal
ai mohabbat hijr kī taqvīm ko aage baḌhā
mere andar hī se uTThā toḌne vaalā mujhe
ḳhud mirā dil hī mirī taqsīm ko aage baḌhā
thī gurezāñ ġham-gusārī se havā-e-hīla-gar
chāñd hī phir dard kī tanzīm ko aage baḌhā
ek zamini hijr ki takrim ko aage baDha
wo ufuq-zada meri tazim ko aage baDha
dekh in kaTte labon se ek sitare ka tulua
aankh nam rakh aur lab tazim ko aage baDha
main ki aks-e-la thi lekin waqt ki lau se pare
aaina-gar KHud meri tajsim ko aage baDha
ai udasi lams-e-KHush-tasir ki hairat mein Dhal
ai mohabbat hijr ki taqwim ko aage baDha
mere andar hi se uTTha toDne wala mujhe
KHud mera dil hi meri taqsim ko aage baDha
thi gurezan gham-gusari se hawa-e-hila-gar
chand hi phir dard ki tanzim ko aage baDha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.