ek zara garm lu ke chalte hi
ik zarā garm lū ke chalte hī
phuul murjhā ga.e haiñ khilte hī
jaag uTThīñ zarūrateñ sab kī
āftāb-e-sahar nikalte hī
din ga.e reg-e-musht kī mānind
rah ga.e log haath malte hī
saj ke aa.ī hai aaj shām-e-ġham
bujh gayā dil charāġh jalte hī
us ke tevar badalne lagte haiñ
mere hālāt ke badalte hī
jaane kaisā tazād hai ham meñ
gir paḌe tum mire sambhalte hī
saarā manzar badalne lagtā hai
'shād' ke pairahan badalte hī
ek zara garm lu ke chalte hi
phul murjha gae hain khilte hi
jag uTThin zaruraten sab ki
aaftab-e-sahar nikalte hi
din gae reg-e-musht ki manind
rah gae log hath malte hi
saj ke aai hai aaj sham-e-gham
bujh gaya dil charagh jalte hi
us ke tewar badalne lagte hain
mere haalat ke badalte hi
jaane kaisa tazad hai hum mein
gir paDe tum mere sambhalte hi
sara manzar badalne lagta hai
'shad' ke pairahan badalte hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.