iKHlas-o-mohabbat ka ajab kal paDa hai
iḳhlās-o-mohabbat kā 'ajab kaal paḌā hai
maazī kā chalan vaqt kī bāñhoñ meñ phañsā hai
tū jis ko pare rakhtā hai zahrāb samajh kar
ai dost vahī mere liye āb-e-baqā hai
is daur kā muḳhtār bhī mahkūm hai shāyad
har zulm pe ḳhāmosh hai patthar sā banā hai
guzre hue lamhe tū palaT kar nahīñ aate
yādoñ ke darīche meñ koī kaise khaḌā hai
haq-goī kā in’ām koī aa ke to dekhe
maqtal meñ 'tapish' aaj tamāsha sā banā hai
iKHlas-o-mohabbat ka 'ajab kal paDa hai
mazi ka chalan waqt ki banhon mein phansa hai
tu jis ko pare rakhta hai zahrab samajh kar
ai dost wahi mere liye aab-e-baqa hai
is daur ka muKHtar bhi mahkum hai shayad
har zulm pe KHamosh hai patthar sa bana hai
guzre hue lamhe tu palaT kar nahin aate
yaadon ke dariche mein koi kaise khaDa hai
haq-goi ka in’am koi aa ke to dekhe
maqtal mein 'tapish' aaj tamasha sa bana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.