iklauti jagir ko takte takte thak kar so jate hain
iklautī jāgīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
ham terī tasvīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
baiThe baiThe āzādī ke ḳhvāb sajāte rahte haiñ phir
pairoñ kī zanjīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
kāġhaz par pechīda misroñ kī bhar-mār lagā dete haiñ
phir dīvān-e-mīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
apne tiir kamān ke chhin jaane kā girya karne vaale
auroñ kī shamshīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
daur-e-jadīd hai saare rāñjhe apne apne mobile par
apnī apnī hiir ko takte takte thak kar so jaate haiñ
din bhar saḌkoñ par injīreñ bechne vaale bhūke bachche
raat ga.e injīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
'ġhālib' kī ġhazleñ paḌhte haiñ 'zauq' se shikva karte haiñ
'saudā' aur 'dabīr' ko takte takte thak kar so jaate haiñ
chhoTī chhoTī bātoñ par yuuñ ḳhuun ḳharāba ho jaatā hai
ham 'ehrām' zamīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
iklauti jagir ko takte takte thak kar so jate hain
hum teri taswir ko takte takte thak kar so jate hain
baiThe baiThe aazadi ke KHwab sajate rahte hain phir
pairon ki zanjir ko takte takte thak kar so jate hain
kaghaz par pechida misron ki bhar-mar laga dete hain
phir diwan-e-mir ko takte takte thak kar so jate hain
apne tir kaman ke chhin jaane ka girya karne wale
auron ki shamshir ko takte takte thak kar so jate hain
daur-e-jadid hai sare ranjhe apne apne mobile par
apni apni hir ko takte takte thak kar so jate hain
din bhar saDkon par injiren bechne wale bhuke bachche
raat gae injir ko takte takte thak kar so jate hain
'ghaalib' ki ghazlen paDhte hain 'zauq' se shikwa karte hain
'sauda' aur 'dabir' ko takte takte thak kar so jate hain
chhoTi chhoTi baaton par yun KHun KHaraba ho jata hai
hum 'ehram' zamir ko takte takte thak kar so jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.