ilahi aasman TuTe kabhi shab-ha-e-furqat par
ilāhī āsmāñ TuuTe kabhī shab-hā-e-furqat par
paḌe haiñ jaan ke laale musībat hai musībat par
jafā kī le ke dil ham se jalāyā mil ke dushman se
magar da.avā-e-bātil thā hamārā us kī ulfat par
siyah-baḳhtī kā apnī khul gayā hai nāma-e-a.amāl
añdherā chhā gayā hai dekhnā sub.h-e-qayāmat par
unheñ rote hue dekhā hai aksar hijr-e-dushman meñ
ḳhudā kī shaan hai hañste the jo merī musībat par
mujhe vo dekhte hī niilī piilī āñkheñ karte haiñ
mirī taqdīr kā likkhā nazar aatā hai sūrat par
ye kis nākām-e-ulfat kī hai mātam kī siyah-poshī
ilāhī chhā ga.ī kaisī udāsī shām-e-furqat par
bahāna hai hamārī jaan lene ke liye ye bhī
kisī kā va.ada-e-dīdār aur vo bhī qayāmat par
mirī tarah se āvāra hai ye bhī koh o sahrā meñ
jamāyā rang apnā baḳht-e-bargashta ne qismat par
mujhe ab aañkh bhar kar tum se bhī dekhā na jā.egā
tumhāre husn-e-ālam-tāb kā partav hai sūrat par
kabhī hoñgī pashemāñ bhī tum apne zulm-e-be-jā se
tumheñ bhī rahm aa.egā kabhī bīmār-e-furqat par
bharī mahfil meñ barsā aur vo bhī ġhair ke aage
faqat itnā kahā thā maiñ marā huuñ terī sūrat par
mire sote kabhī aġhyār ke ghar ye na jā.egī
vafādārī mirī sāya-figan hai shām-e-furqat par
zamāne kī do-rangī se umañgeñ miT ga.iiñ saarī
kabhī thā naaz ham ko bhī 'faroġh' apnī tabī.at par
ilahi aasman TuTe kabhi shab-ha-e-furqat par
paDe hain jaan ke lale musibat hai musibat par
jafa ki le ke dil hum se jalaya mil ke dushman se
magar dawa-e-baatil tha hamara us ki ulfat par
siyah-baKHti ka apni khul gaya hai nama-e-amal
andhera chha gaya hai dekhna subh-e-qayamat par
unhen rote hue dekha hai aksar hijr-e-dushman mein
KHuda ki shan hai hanste the jo meri musibat par
mujhe wo dekhte hi nili pili aankhen karte hain
meri taqdir ka likkha nazar aata hai surat par
ye kis nakaam-e-ulfat ki hai matam ki siyah-poshi
ilahi chha gai kaisi udasi sham-e-furqat par
bahana hai hamari jaan lene ke liye ye bhi
kisi ka wada-e-didar aur wo bhi qayamat par
meri tarah se aawara hai ye bhi koh o sahra mein
jamaya rang apna baKHt-e-bargashta ne qismat par
mujhe ab aankh bhar kar tum se bhi dekha na jaega
tumhaare husn-e-alam-tab ka partaw hai surat par
kabhi hongi pasheman bhi tum apne zulm-e-be-ja se
tumhein bhi rahm aaega kabhi bimar-e-furqat par
bhari mahfil mein barsa aur wo bhi ghair ke aage
faqat itna kaha tha main mara hun teri surat par
mere sote kabhi aghyar ke ghar ye na jaegi
wafadari meri saya-figan hai sham-e-furqat par
zamane ki do-rangi se umangen miT gain sari
kabhi tha naz hum ko bhi 'farogh' apni tabiat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.