ilahi KHair baDh jae na shorida-sari apni
ilahi KHair baDh jae na shorida-sari apni
Syed Zaheer Ahmad Zaidi
MORE BYSyed Zaheer Ahmad Zaidi
ilāhī ḳhair baḌh jaa.e na shorīda-sarī apnī
dikhātā hai mirā josh-e-junūñ dīvāngī apnī
ye merī iztirāb-e-shauq kī afzūniyāñ tauba
baḌhī jaatī hai paiham jaane kyoñ āshuftagī apnī
kabhī taḌpā kabhī royā kabhī dil thaam kar uTThā
kisī kal baiThne detī nahīñ hai bekalī apnī
firāq-e-yār meñ do chaar aañsū gar bahā dete
bujhā lete ham in ashkoñ se shāyad tishnagī apnī
bahār-e-husn ke jalve mirī āñkhoñ meñ rahte haiñ
chaman-andoz rahtī hai nigāh-e-āshiqī apnī
kisī ke nargisī sāġhar kā nashsha chhā gayā dil par
ḳhirad ke hosh gum haiñ baḌh ga.ī hai be-ḳhudī apnī
shabāb-e-husn kī shoḳhī junūñ dar-parda laa.ī hai
to āḳhir-kār baḌh jaa.e na kyoñ vāraftagī apnī
na jaane kis kī barq-e-husn ne barbād kar Daalā
ki baḌhtī jā rahī hai dam-ba-dam dīvāngī apnī
mirā charchā zamāne ke adīboñ meñ 'fazā' hogā
kisī din rang lā.egī jahāñ meñ shā.erī apnī
ilahi KHair baDh jae na shorida-sari apni
dikhata hai mera josh-e-junun diwangi apni
ye meri iztirab-e-shauq ki afzuniyan tauba
baDhi jati hai paiham jaane kyon aashuftagi apni
kabhi taDpa kabhi roya kabhi dil tham kar uTTha
kisi kal baiThne deti nahin hai bekali apni
firaq-e-yar mein do chaar aansu gar baha dete
bujha lete hum in ashkon se shayad tishnagi apni
bahaar-e-husn ke jalwe meri aankhon mein rahte hain
chaman-andoz rahti hai nigah-e-ashiqi apni
kisi ke nargisi saghar ka nashsha chha gaya dil par
KHirad ke hosh gum hain baDh gai hai be-KHudi apni
shabab-e-husn ki shoKHi junun dar-parda lai hai
to aaKHir-kar baDh jae na kyon waraftagi apni
na jaane kis ki barq-e-husn ne barbaad kar Dala
ki baDhti ja rahi hai dam-ba-dam diwangi apni
mera charcha zamane ke adibon mein 'faza' hoga
kisi din rang laegi jahan mein shaeri apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.