ilahi mahshar mein bahr-e-pursish jab ek darbar aam hoga
ilahi mahshar mein bahr-e-pursish jab ek darbar aam hoga
Aiman Amritsari
MORE BYAiman Amritsari
ilāhī mahshar meñ bahr-e-pursish jab ek darbār aam hogā
mirī baġhal meñ surāhī hogī zabān par terā naam hogā
nasīb tujh ko nahīñ ye ne.amat to zahmat-e-tūr kar gavārā
yahāñ to hote haiñ roz jalve kalīm tujh ko kalām hogā
nigah rahe āsmāñ pe terī hai tā.ir-e-arsh-āshiyāñ tū
nazar meñ jis kī zamīn hogī vahī giraftār-e-dām hogā
qubūl kar markaz-e-haqīqat tirā makāñ lā-makāñ hai ai dil
majāz ke dā.ere meñ aakar fuzūl pāband-e-nām hogā
harīm-e-ka.aba-o-dair donoñ haiñ qābil-e-ehtirām lekin
nazā.a-e-bāham ke hoñ na markaz to phir dilī-ehtirām hogā
tū nashsha-e-zohd kā hai tālib tujhe kahāñ vajd-e-jāvedānī
jo rind-e-mast-e-mudām hogā vo rāzdār-e-davām hogā
shu.ūr kahte haiñ jis ko aaqil vo roz mehvar badal rahā hai
jo aa gayā jāda-e-junūñ meñ sukūñ meñ us kā qiyām hogā
na hoñgī hal mushkilāt 'aiman' fuzūl sab koshisheñ haiñ terī
ḳhudā se imdād kī duā kar baġhair is ke na kaam hogā
ilahi mahshar mein bahr-e-pursish jab ek darbar aam hoga
meri baghal mein surahi hogi zaban par tera nam hoga
nasib tujh ko nahin ye neamat to zahmat-e-tur kar gawara
yahan to hote hain roz jalwe kalim tujh ko kalam hoga
nigah rahe aasman pe teri hai tair-e-arsh-ashiyan tu
nazar mein jis ki zamin hogi wahi giraftar-e-dam hoga
qubul kar markaz-e-haqiqat tera makan la-makan hai ai dil
majaz ke daere mein aakar fuzul paband-e-nam hoga
harim-e-kaba-o-dair donon hain qabil-e-ehtiram lekin
nazaa-e-baham ke hon na markaz to phir dili-ehtiram hoga
tu nashsha-e-zohd ka hai talib tujhe kahan wajd-e-jawedani
jo rind-e-mast-e-mudam hoga wo raazdar-e-dawam hoga
shuur kahte hain jis ko aaqil wo roz mehwar badal raha hai
jo aa gaya jada-e-junun mein sukun mein us ka qiyam hoga
na hongi hal mushkilat 'aiman' fuzul sab koshishen hain teri
KHuda se imdad ki dua kar baghair is ke na kaam hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.