ilahi tu meri taqdir ko tanhaiyan de de
ilāhī tū mirī taqdīr ko tanhā.iyāñ de de
magar us kī shaboñ ko anjuman-ārā.iyāñ de de
diloñ ko jazba-e-‘ishq-o-mohabbat baḳhshne vaale
use mash.hūr kar de aur mujhe rusvā.iyāñ de de
agar mere ta'alluq se koī paiġhām denā hai
to lahje ko asar aur fikr ko gahrā.iyāñ de de
dar-o-dīvār kī ye be-hisī kab tak sahūñ āḳhir
mirī ḳhalvat ko bhī kuchh 'aks kuchh parchhā.iyāñ de de
udāsī tujh se jab 'e'jāz' dekhī hī nahīñ jaatī
to phir is ġham-zada māhaul ko shahnā.iyāñ de de
ilahi tu meri taqdir ko tanhaiyan de de
magar us ki shabon ko anjuman-araiyan de de
dilon ko jazba-e-‘ishq-o-mohabbat baKHshne wale
use mashhur kar de aur mujhe ruswaiyan de de
agar mere ta'alluq se koi paigham dena hai
to lahje ko asar aur fikr ko gahraiyan de de
dar-o-diwar ki ye be-hisi kab tak sahun aaKHir
meri KHalwat ko bhi kuchh 'aks kuchh parchhaiyan de de
udasi tujh se jab 'e'jaz' dekhi hi nahin jati
to phir is gham-zada mahaul ko shahnaiyan de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.