Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilham saut pa ke azanon tak aa gaya

Talib Husain Talib

ilham saut pa ke azanon tak aa gaya

Talib Husain Talib

MORE BYTalib Husain Talib

    ilhām saut ke azānoñ tak aa gayā

    jitnā bhī dil shor thā kānoñ tak aa gayā

    us paar jis qadar bhī ġhubār-e-vajūd thā

    pahlī nazar meñ ā.ina-ḳhānoñ tak aa gayā

    har dastiyāb zaḳhm rahīn-e-hunar kiyā

    phir maiñ kitāb ban ke dukānoñ tak aa gayā

    maanā ki mere haath pe dastak udhār thī

    lekin ye kyā ki ḳhālī makānoñ tak aa gayā

    kam-qāmatī dukh mujhe laayā salīb tak

    utrā salīb se to zamānoñ tak aa gayā

    kyā jaane jū-e-ḳhūñ nikal aa.e ki jū-e-shīr

    teshe meñ aag thī so chaTānoñ tak aa gayā

    nā-dīdanī tavāf tā.īd kis se leñ

    pīr-e-haram ḳhauf javānoñ tak aa gayā

    hotī hai bāzgasht bhī kis ehtimām se

    chehra bujhā to naam zabānoñ tak aa gayā

    ilham saut pa ke azanon tak aa gaya

    jitna bhi dil ka shor tha kanon tak aa gaya

    us par jis qadar bhi ghubar-e-wajud tha

    pahli nazar mein aaina-KHanon tak aa gaya

    har dastiyab zaKHm rahin-e-hunar kiya

    phir main kitab ban ke dukanon tak aa gaya

    mana ki mere hath pe dastak udhaar thi

    lekin ye kya ki KHali makanon tak aa gaya

    kam-qamati ka dukh mujhe laya salib tak

    utra salib se to zamanon tak aa gaya

    kya jaane ju-e-KHun nikal aae ki ju-e-shir

    teshe mein aag thi so chaTanon tak aa gaya

    na-didani tawaf ki taid kis se len

    pir-e-haram ka KHauf jawanon tak aa gaya

    hoti hai bazgasht bhi kis ehtimam se

    chehra bujha to nam zabanon tak aa gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now