ilm hota nahin bahaw ka
'ilm hotā nahīñ bahāv kā
jurm bantā hai mahz naav kā
dūsre 'ishq kā maiñ kyā sochūñ
dard kaafī hai pahle ghaav kā
zindagī hai yā koī station
kyā tamāshā hai aao jaao kā
maut itnī hasīn lag rahī thī
maiñ ne sochā nahīñ bachāv kā
ek lamhe meñ miT rahegā sab
hukm aayā agar miTāo kā
dekh mujh ko tabāh kar gayā hai
yahī andāz rakh-rakhāv kā
jang hone lagī kahānī meñ
sho'la baḌhne lagā alaav kā
bachne vāloñ ko yaad hī nahīñ ab
koī mallāh bhī thā naav kā
ham bhī jaate nahīñ vahāñ 'anjum'
ḳhat bhī aatā nahīñ hai aao kā
'ilm hota nahin bahaw ka
jurm banta hai mahz naw ka
dusre 'ishq ka main kya sochun
dard kafi hai pahle ghaw ka
zindagi hai ya koi station
kya tamasha hai aao jao ka
maut itni hasin lag rahi thi
main ne socha nahin bachaw ka
ek lamhe mein miT rahega sab
hukm aaya agar miTao ka
dekh mujh ko tabah kar gaya hai
yahi andaz rakh-rakhaw ka
jang hone lagi kahani mein
sho'la baDhne laga alaw ka
bachne walon ko yaad hi nahin ab
koi mallah bhi tha naw ka
hum bhi jate nahin wahan 'anjum'
KHat bhi aata nahin hai aao ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.