iltifat-e-ishq se jab husn kaamil ho gaya
iltifat-e-ishq se jab husn kaamil ho gaya
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
iltifāt-e-ishq se jab husn kāmil ho gayā
har tamanna kā mujhe ehsās mushkil ho gayā
hote hote bā.is-e-barbādī-e-dil ho gayā
parde hī parde meñ us kā husn kāmil ho gayā
yuuñ naqāb-e-ruḳh ulaT dī us ne bazm-e-nāz meñ
koī dīvāna huā aur koī ġhāfil ho gayā
us kī hastī us kī mastī us kā lutf-e-iztirāb
jis ke dil meñ terā dard-e-shauq shāmil ho gayā
ab ba-juz tūfān-e-ġham kuchh bhī nazar aatā nahīñ
kyā mirī nazroñ meñ pinhāñ merā sāhil ho gayā
uf vo duzdīda nigāheñ aah un kā iltifāt
ek nāzuk tiir thā maiñ jis se ghā.il ho gayā
'dard' rāhat mil rahī hai iztirāb-e-shauq meñ
kyā mirī betābiyoñ meñ vo bhī shāmil ho gayā
iltifat-e-ishq se jab husn kaamil ho gaya
har tamanna ka mujhe ehsas mushkil ho gaya
hote hote bais-e-barbaadi-e-dil ho gaya
parde hi parde mein us ka husn kaamil ho gaya
yun naqab-e-ruKH ulaT di us ne bazm-e-naz mein
koi diwana hua aur koi ghafil ho gaya
us ki hasti us ki masti us ka lutf-e-iztirab
jis ke dil mein tera dard-e-shauq shamil ho gaya
ab ba-juz tufan-e-gham kuchh bhi nazar aata nahin
kya meri nazron mein pinhan mera sahil ho gaya
uf wo duzdida nigahen aah un ka iltifat
ek nazuk tir tha main jis se ghail ho gaya
'dard' rahat mil rahi hai iztirab-e-shauq mein
kya meri betabiyon mein wo bhi shamil ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.