ilzam be-sabab na kisi par dhara karen
ilzām be-sabab na kisī par dharā kareñ
tahqīq apne taur pe bhī kar liyā kareñ
ḳhud hī ġhubār-e-rāh dikhā.eñge rāsta
paidā to aap dil meñ zarā hausla kareñ
ruḳhsār-o-lab kī baat bahut ho chukī hai ab
hālāt-e-hāzira pe koī tabsira kareñ
ye baat dostoñ ko bhī guzregī nāgavār
iz.hār-e-dushmanī na kabhī barmalā kareñ
Tal jaatī haiñ musībateñ is kār-e-ḳhair se
mohtājoñ be-navāoñ ko sadqa diyā kareñ
nafrat kī tīrgī ko miTāne ke vāste
har chaar samt pyaar kā raushan diyā kareñ
dil meñ na ho ḳhulūs to be-sūd hai miyāñ
din-rāt aap laakh ibādat kiyā kareñ
'shādāñ' qadam qadam pe ye detī rahī fareb
ham zindagī ke saath kahāñ tak vafā kareñ
ilzam be-sabab na kisi par dhara karen
tahqiq apne taur pe bhi kar liya karen
KHud hi ghubar-e-rah dikhaenge rasta
paida to aap dil mein zara hausla karen
ruKHsar-o-lab ki baat bahut ho chuki hai ab
haalat-e-hazira pe koi tabsira karen
ye baat doston ko bhi guzregi nagawar
izhaar-e-dushmani na kabhi barmala karen
Tal jati hain musibaten is kar-e-KHair se
mohtajon be-nawaon ko sadqa diya karen
nafrat ki tirgi ko miTane ke waste
har chaar samt pyar ka raushan diya karen
dil mein na ho KHulus to be-sud hai miyan
din-raat aap lakh ibaadat kiya karen
'shadan' qadam qadam pe ye deti rahi fareb
hum zindagi ke sath kahan tak wafa karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.